Whatsapp ek popular free mobile messaging platform hai. sayad hi koi aisa hoga jiske pass smartphone ho par wo whatsapp use na karta ho. whatsapp me bahot sare aise hidden features hote hai jinhe har koi nahi janta hai. is post me hum latest whatsapp tricks or hacks ke bare me janenge.
Whatsapp Tricks And Hacks For Android And iOS in Hindi
1. Bina Group Create Kiye Ek Sath 250+ Friend Ko Massage Kaise Send Kare.
Man lo aaj diwali hai ya koi festival hai, aur aap apne sabhi friend ko personally wish karna chahte ho. agar aap sabko ek ek karke message send karoge to aapka bahot sara time waste hoga. aur dusri bar jab koi dusra festival aayega to phir se aapko mehnat karni padegi.
waise to aap group create karke sabko message send kar sakte ho par agar aap personally kisi ko massage karogi to wo best rahega aur samne wala bhi happy ho jayega.
Is Trick se na keval aap ek baar ek sath 250+ logo ko ek sath personal message send kar sakte ho, balki aap jab chahe tab massages send kar sakte ho.
- Sabse Pahle Whatsapp Open Kare.
- Ab top me 3 dots ( options ) par click kare.
- Ab New Broadcast par click kare.
- Ab aap jin logo ko massage karna chahte ho unhe select karde.
- Friend ko select karne ke baad Green Right button par click kare.
- Bas ab ho gayi aapki broadcast list.
Ab aap Massage, Photo ya Video send kar sakte ho.
Must Read : 500 Best Whatsapp Attitude Status In Hindi 2017
2. Whatsapp Pe Favorites Massages Ko Save Kaise Kare.
Jab aapke phone bahot sare massage ho jate hai to aap sabhi ko delete kare dete honge. usse aapke kuch pasand diga massages bhi delete ho jate honge. par is trick ko use karke aap apne favorites massage ko save kar sakte hai.
- Sabse pahle aap jin massages ko save karna chahte hai unhe select karle.
- Ab top par diye gaye options me se Star par click kare.
- Ab aapne jo jo massages select kiye honge wo save ho jayenge.
Save kiye massages ko dekhne ke liye whatsapp me options me Started Massages par click kare.
3. Whatsapp Me Text Ko Style Kaise Kare ( Whatsapp Tricks For Typing ) .
Apne text ko asarkarak roop se display karne ke liye usko sahi tarike se style karna bahut jaroori hai. is hidden trick se aap apne text ko bold, italic ya strikethrough me format karke send kar sakte ho.
- Text ko Bold style me likhne ke liye text ke start aur end me ( * ) symbol ka use kare.
- example : *XYZ*
- Text ko Italic style me likhne ke liye text ke start aur end me ( _ ) symbol ka use kare.
- example : _xyz_
- Text ko strikethrough style me likhne ke liye text ke start aur end me ( ~ ) symbol ka use kare.
- example : ~
xyz~
4. Whatsapp Me Text Ko New Font Me Kaise Likhe ( Whatsapp Tricks For Fonts ) .
Kuch samay pahle whatsapp ne ek new font apne features me add kiya hai. jiski help se aa text ko new font me likh karke send kar sakte ho.
- Text ko new font me likhne ke liye text start aur end me ( ''' ) add karde.
- example. '''XYX'''
5. Ek Phone Se 2 Ya Usse Jyada Whatsapp Account Kaise Use Kare.
Agar aapke pass ek hi phone hai par aap 2 se jyada number se whatsapp use karna chahte hai to is trick ko use kare.
- Sabse pahle play store se Nox App+ naam ke is aap ko install kare.
- Install karne ke baad is app ko open kare.
- Ab + button par click kare.
- Ab bahot sare options me se whatsapp ko select kare. ( Note. ye trick use karne ke liye aapke phone me whatsapp pahle se install hona jaroori hai )
- Ab Whatsapp aap ke main screen par aa jayega.
- Ab aap use open karke use kar sakte hai.
- Agar aap 3 number use karna chahte hai to phir se + par click karke whatsapp select karke use kar sakte.
Is trick se aap apni marzi ke hisab se jitne chahe utne whatsapp account use kar sakte hai.
6. Whatsapp massage ko kisi ko pata chale bina secretly kaise read karen.
- First apne phone me flight mode on karde.
- Flight mode on karne ke baad unread massage ko read kare.
- Massage read karne ke baad Flight Mode off karde.
Jab aap is trick ko use karenge to aap massage to read kar lenge par samne wale ko pata nahi chalega ki aapne massage read kiya hai. samne wale phone me 2 blue ticks nahi dikhai denge.
7. Phone Number Ke Bina Whatsapp Kaise Use Kare.
Aap sochenge ki yeh kaise possible hai ki bina kisi mobile number whatsapp use kiya ja sakta hai. par ye aap niche di gayi trick ko use karke bina kisi mobile number whatsapp use kar sakte hai.
- Sabse pahle apne phone me whatsapp ka backup bana le.
- ab whatsapp ko uninstall karde.
- ab play store se whatsapp ko install karde.
- ab play store se koi bhi spoof messaging app install karde.
- next phone me flight mode on karde.
- ab whatsapp ko open karein, aur thodi der process ko complete hone de.
- ab internet on na hone ki wajah se whatsapp verification fail ho jayega.
- ab flight mode ko off karde.
- next alternative SMS method par click kare.
- ab text box me apni email id enter kare.
- next send button click kare aur jaise hi process start ho use turant cancel karde.
- ab spoof messaging app ko open karke niche di gayi information ko enter kare.
To: +447900347295
From: +(Country code)(mobile number)
Message: Your email address
ab aapka whatsapp verify ho chuka hoga. aur aap bina apna mobile number register kiye use kar sakte hai.
8. Whatsapp me last seen ko kaise hide kare.
- First Open Whatsapp
- Next Setting > Account > Privacy > Last Seen par touch kare.
- Ab aapko 3 Options dikhai denge - Everyone, My Contact And Nobody
- Now Nobody ko select kare.
Nobody ko select karne se aapka last seen kisi ko bhi dikahi nahi dega.
9. Whatsapp Se Fake Thumbnail Wala Photo Kaise Send Kare ( Whatsapp Tricks For Picture ).
Apne kai bar dekha hoga ki whatsapp par aapko koi aisa photo ayega jiska thumbnail (preview) kuch aur hoga and jab aap use download karenge to koi alag hi photo open hoga.
Ise fake thumbnail techniq kahte hai. iska use karke aap bhi kisi ko bewkoof bana sakte ho.
- Sabse pahle apne phone me Image preview changer, Z- photo fake App ya Photo Magic in me se kisi bhi app ko install karle.
- Ab aap in app ki help se original image ke liye fake thumbnail create karke kisi ko bhi send kar sakte hai.
10. Apne Whatsapp Profile Picture Ko Hide Kaise Kare.
- Sabse pahle whatsapp open kare.
- Next Setting > Account > Privacy par click kare.
- Ab Profile Photo Options par click kare.
- Ab 3 options me se Nobody ko select kare.
Is trick ko use karne se aapka profile picture aapke siva kisi ko bhi nahi dikhega.
Latest Cool Secret Whatsapp Tricks in Hindi is article ko pura padhne ke liye aapka dhanyawad. agar aap new whatsapp tips and tricks, facebook tricks, instagram tricks, whatsapp status, attitude status, technical tips aur hindi massages padhna chahte hai to hamare blog ko subscribe kare.
No comments:
Post a Comment